bas thoda intazaar...
woh mude hue panne meri diary ke woh kuch adhkhule, adhpadhe khat meri daraz mein woh phate hue kaagaz meri uss kitaab ke woh sookhe hue phool meri mez par mujhe bas unki yaad dilata hai... woh mera kuch bikhra hua kaajal woh bikhre hue se baal woh soona soona sa kamra sunsaan sa woh mera makaan mujhe bas unki yaad dilata hai... kal raat phir unki yaadon ne aa jakda tha kal raat hi main chup chup ke kuch royi thi kal raat hi unse do chaar baatein karke kal raat bas do hi ghadi main soyi thi... "main paas hi toh hoon tumhare" yeh baat unone kahi thi "bas kuch hi din aur" yeh dilaasa bhi toh diya tha. isi wajah se aaj tak intazaar karti hoon main warna toh kab ka dum tod diya tha...