bas thoda intazaar...

woh mude hue panne meri diary ke
woh kuch adhkhule, adhpadhe khat meri daraz mein
woh phate hue kaagaz meri uss kitaab ke
woh sookhe hue phool meri mez par
mujhe bas unki yaad dilata hai...

woh mera kuch bikhra hua kaajal
woh bikhre hue se baal
woh soona soona sa kamra
sunsaan sa woh mera makaan
mujhe bas unki yaad dilata hai...

kal raat phir unki yaadon ne aa jakda tha
kal raat hi main chup chup ke kuch royi thi
kal raat hi unse do chaar baatein karke
kal raat bas do hi ghadi main soyi thi...

"main paas hi toh hoon tumhare" yeh baat unone kahi thi
"bas kuch hi din aur" yeh dilaasa bhi toh diya tha.
isi wajah se aaj tak intazaar karti hoon main
warna toh kab ka dum tod diya tha...

Comments

Popular posts from this blog

When the odds met

And this what we call is ‘life’

A COCOON FOR THE TWO